Table of Contents
Bichra Hai Jo Ek Bar Tou Milte Nahi Dekha
Parveen Shakir Shayari
Bichra hai jo ek bar to milte nahin dekha
Is zakhm ko hum ne kabhi silte nahin dekha
بِچھڑا ہے جو اِک بار تو مِلتے نہیں دیکھا
اِس زخم کو ہم نے کبھی سِلتے نہیں دیکھا
Ek bar jise chaat gai dhup ki Khwahish
Phir shakh pe us phul ko khilte nahin dekha
اِک بار جسے چاٹ گئی دُھوپ کی خواہش
پھر شاخ پہ اُس پھول کو کِھلتے نہیں دیکھا
Yak-lakht gira hai to jadain tak nikal aain
Jis ped ko aandhi mein bhi hilte nahin dekha
یک لخت گِرا ہے، تو جڑیں تک نِکل آئیں
جس پیڑ کو آندھی میں بھی ہلتے نہیں دیکھا
Kanton mein ghire phul ko chum aaegi lekin
Titli ke paron ko kabhi chhilte nahin dekha
کانٹوں میں گِھرے پُھول کو چُوم آئے گی لیکن
تِتلی کے پَروں کو کبھی چھلتے نہیں دیکھا
Kis tarah meri ruh hari kar gaya aakhir
Wo zahr jise jism mein khilte nahin dekha
کِس طرح مِری رُوح ہری کر گیا آخر
وہ زہر جسے، جسم میں کِھلتے نہیں دیکھا
Badban Khulne Se Pehle Ka Ishara Dekhna – Parveen Shakir Ghazal
Itni Muddat Baad Mile Ho – Mohsin Naqvi Poetry
Zindagi Kya Hue Woh Apne Zamane Wale – Urdu Poetry Collection