
Table of Contents
Bichar Ke Mujh Se Kabhi Tu Ne Ye Bhi Socha Hai
Mohsin Naqvi Poetry
bichar ke mujh se kabhi tu ne ye bhi socha Hai
adhura chand bhi kitna udas lagta Hai
ye khatam e wasl ka lamha he, raegan na samajh
ke is ke bad wohi durion ka sehra Hai
kuch or der na jharna udasion ke shajar
kise khabar tere saye me kon betha Hai
ye rakh rakhao mohabbat sikha gae us ko
wo ruth kar bhi mujhe muskura ke milta Hai
main kis tarha tujhe dekhun ,nazar jhijhakti Hai
tera badan he ke ye aaenon ka darya Hai
main tujh ko pa kar bhi khoya hua sa rehta hun
kabhi kabhi to mujhe tu ne thek he samjha Hai
mujhe khabar he ke kia he judaion ka azab
ke main ne shakh se gul ko bicharte dekha Hai
main muskura bhi para hun to kiun khafa hen ye log
ke phool tuti hui qabar per bhi khilta Hai
usey ganwa ke main zinda hun is tarha Mohsin
ke jese tez hawa me charagh jalta Hai
بچھڑ کے مجھ سے کبھی تونے یہ بھی سوچا ہے
کہ ادھورا چاند بھی کتنا اداس لگتا ہے
یہ ختم وصل کا لمحہ ہے ، رائگاں نہ سمجھ
کہ اس کے بعد وہی دوریوں کا صحرا ہے
کچھ اور دیر نہ جھڑنا اداسیوں کے شجر
کسے خبر کہ ترے سائے میں کون بیٹھا ہے
یہ رکھ رکھاؤ محبت سکھا گئی اس کو
وہ روٹھ کر بھی مجھے مسکرا کے ملتا ہے
میں کس طرح تجھے دیکھوں ، نظر جھجکتی ہے
ترا بدن ہے یہ کہ آئینوں کا دریا ہے ؟
میں تجھ کو پا کے بھی کھویا ہوا سا رہتا ہوں
کبھی کبھی تونے مجھے ٹھیک سمجھا ہے
مجھے خبر ہے کہ کیا ہے جدائیوں کا عذاب
میں نے شاخ سے گل کو بچھڑتے دیکھا ہے
میں مسکرا بھی پڑا ہوں تو کیوں خفا ہیں لوگ
کہ پھول ٹوٹی ہوئی قبر پر بھی کھلتا ہے
اسے گنوا کہ میں زندہ ہوں اس طرح محسن
کہ جیسے تیز ہوا میں چراغ جلتا ہے
Ishq Mein Barbad Hone K Siva Rakha Na Tha – Urdu Poetry
Na Ganwao Nawak-e-Neem Kash – Faiz Ahmad Faiz
Muhabbat Khud Batati Hai Kahan Kis Ka Thikana Hai
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO