
Table of Contents
Bichad Ke Mujh Se Ye Mashghala Ikhtiyar Karna
Mohsin Naqvi Poetry
Bichad ke mujh se ye mashghala ikhtiyar karna
Hawa se darna bujhe charaghon se pyar karna
بچھڑ کے مجھ سے یہ مشغلہ اختیار کرنا
ہوا سے ڈرنا بجھے چراغوں سے پیار کرنا
Khuli zaminon mein jab bhi sarson ke phool mahken
Tum aisi rut mein sada mera intezar karna
کھلی زمینوں میں جب بھی سرسوں کے پھول مہکیں
تم ایسی رت میں سدا میرا انتظار کرنا
Jo log chahen to phir tumhein yaad bhi na aayen
Kabhi kabhi tum mujhe bhi un mein shumar karna
جو لوگ جائیں تو پھر تمھیں یاد بھی نہ آئیں
کبھی کبھی تم مجھے بھی ان میں شمار کرنا
Kisi ko ilzam-e-bewafai kabhi na dena
Meri tarah apne aap ko sogwar karna
کسی کو الزام بے وفائی کبھی نہ دینا
میری طرح اپنے آپ کو سوگوار کرنا
Tamam wade kahan talak yaad rakh sakoge
Jo bhul jayen wo ahd bhi ustuwar karna
تمام وعدے کہاں تک یاد رکھ سکو گے
جو بھول جائیں وہ عہد بھی استوار کرنا
Ye kis ki ankhon ne badalon ko sikha diya hai
Ki sina-e-sang se rawan abshar karna
یہ کس کی آنکھوں نے بادلوں کو سکھا دیا ھے
کہ سینہ سنگ سے رواں آبشار کرنا
Main zindagi se na khul saka is liye bhi Mohsin
Ki behte paani pe kab talak etibar karna
میں زندگی سے نہ کھل سکا اس لیے بھی محسن
کہ بہتے پانی پہ کب تلک اعتبار کرنا
Ujar Ujar K Sanwarti Hai Terey Hijar Ki Sham – Mohsin Naqvi
Kaam Sab Gair Zaruri Hain Jo Sab Karte Hain – Rahat Indori
Ab Aur Kya Kisi Se Marasim Barhain Hum – Ahmad Faraz Poetry
Tumhein Dillagi Bhool Jaani Padegi.. NFAK LYRICS
Likh Diya Apne Dar Pe Kisi Ne – NFAK LYRICS
Follow On Us Social Media:
● Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
● Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm