Bhule Afsane Wafa Ke Yaad Dilwate Huye
bhule afsane wafa ke yaad dilwate huye
tum tou aaye aur dil ki aag bhadkate huye
بھولے افسانے وفا کے یاد دلواتے ہوئے
تم تو آئے اور دل کی آگ بھڑکاتے ہوئے
mauj-e-mai bal kha gai gul ko jamai aa gai
zulf ko dekha jo us aariz pe lahraate huye
موجِ مے بل کھا گئی،گل کو جماہی آ گئی
زلف کو دیکھا جو اس عارض پہ لہراتے ہوئے be-murawwat yaad kar le ab to muddat ho gai
teri baaton se dil-e-muztar ko bahlate huye بے مروت یاد کر لے، اب تو مدت ہو گئیتیری باتوں سے دلِ مضطر کو بہلاتے ہوئے neend se uth kar kisi ne is tarah aankhen malin
subh ke tare ko dekha aankh jhapkate huye نیند سے اٹھ کر کسی نے اس طرح آنکھیں ملیںصبح کے تارے کو دیکھا آنکھ جھپکاتے ہوئے hum to utthe jate hain lekin bata de is qadar
kis ke dar ki khak chhane tere kahlate huye ہم تو اٹھے جاتے ہیں لیکن بتا دے اس قدرکس کے در کی خاک چھانے تیرے کہلاتے ہوئے jhad kar daman asar jis bazm se uth aaye the
aaj phir dekhe gae hazrat udhar jate huye جھاڑ کر دامن اثر جس بزم سے اٹھ آئے تھےآج پھر دیکھے گئے حضرت ادھر جاتے ہوئے اثر لکھنوی Achi Hai Doston Se Shikayat Kabhi Kabhi – Urdu PoetryWoh Ke Har Ehde Muhabbat Se – Mehdi Hassan LyricsJab Bhi Aati Hai Teri Yaad Kabhi Shaam Ke BaadJab Aankh Mein Kuch Khaak Si Urhti Nazar Aayi
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO