
Be Karan Tanhaiyon Ka Silsila Reh Jaye Ga
Be Karan Tanhaiyon Ka Silsila Reh Jaye Ga
Tere Mere Darmiyan, bas ek khala reh jaye ga Aks beh jayen ge sare dhoop ke sailab mein
Aur koi paaniyon mein jhaankta reh jaye ga Mujh ko mere hamsafar aisa safar dar_paish hai
Rasta kat bhi gaya to fasla reh jaye ga Loog soo jayen ge khamoshi ki chadar oorh kar
Chaand suny aangnon mein jagta reh jaye ga Jo kabhi us ne parhin thin mujh se naseer mang kar
Naam mera un kitabon mein likha reh jaye ga بے کراں تنہائیوں کا سلسلہ رہ جائے گاتیرے میرے درمیاں بس اک خلا رہ جائے گا عکس بہہ جائیں گے سارے درد کے سیلاب میںاور کوئی پانیوں میں جھانکتا رہ جائے گا مجھ کو میرے ہم سفر ایسا سفر درپیش ہےراستہ کٹ بھی گیا تو فاصلہ رہ جائے گا لوگ سو جائیں گے خاموشی کی چادر اوڑھ کرچاند سُونے آنگنوں میں جاگتا رہ جائے گا جو کبھی اُس نے پڑھی تھیں مجھ سے ناصر مانگ کرنام میرا اُن کتابوں میں لکھا رہ جائے گا نصیر احمد ناصر Ghar Se Nikal Kar Apne Tere Aastan Tak – Urdu Ghazal PoetryTum Ne To Keh Diya Ke Mohabbat Nahi Mili – Noshi GilaniBheed Mein Aik Shaks Ko Sab Hi Say Hat K Daikhna | Ghazal
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO