Table of Contents
Apnon Ki Be Rukhi Se Faramosh Ho Gaye
Urdu Heart Broken Poetry
apnon ki be rukhi se faramosh ho gaye
kuch log apne aap mein roposh ho gaye
اپنوں کی بے رخی سے فراموش ہو گئے
کچھ لوگ اپنے آپ میں روپوش ہو گئے
apnon ke zulm sehney ki aadat si ho gayi
gheiron nay poocha haal to khamosh ho gaye
اپنوں کے ظلم سہنے کی عادت سی ہو گئی
غیروں نے پوچھا حال تو خاموش ہو گئے
jab reh gayi mafaad parasti ki dosti
kuch log dosti se subukdosh ho gaye
جب رہ گئی مفاد پرستی کی دوستی
کچھ لوگ دوستی سے سبکدوش ہو گئے
kuch log mantay hi kahan thay wafa, magar
parwanay jaltay dekh ke pur josh ho gaye
کچھ لوگ مانتے ہی کہاں تھے وفا، مگر
پروانے جلتے دیکھ کے پرجوش ہو گئے
kuch log hazme ke liye khayen golian
kuch log bhook pyaas se be hosh ho gaye
کچھ لوگ ہاضمے کے لیے کھائیں گولیاں
کچھ لوگ بھوک پیاس سے بے ہوش ہو گئے
kuch log Iqtidaar pay qabiz thay haar kar
kuch log jeet kar bhi subukdosh ho gaye
کچھ لوگ اقتدار پہ قابض تھے ہار کر
کچھ لوگ جیت کر بھی سبکدوش ہو گئے
Ejaaz jitne log baraye farokht thay
qeemat wusool karte hi madhosh ho gaye
اعجاز جتنے لوگ برائے فروخت تھے
قیمت وصول کرتے ہی مدہوش ہو گئے
Aey Ishq Hamari Galiyon Mein – Heart Touching Urdu Poetry
Shayad Mujhe Kisi Se Mohabbat Nahi Hui – Jaun Elia Poetry
Soz e gham De Ke Mujhe Uss Ne Ye Irshad Kiya – Urdu Shayari
FOLLOW US:
● Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
● Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
● Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO