Apna Gham Leke Kahin Aur Na Jaaya Jaaye
Apna Gham Leke Kahin Aur Na Jaaya Jaaye
Ghar Main Bikhri Hui Cheezo Ko Sajaaya Jaaye
اپنے غم لے کے کہیں اور نہ جایا جائے
گھر میں بکھری ہوئی چیزوں کو سجایا جائے
Jin Chiraagon Ko Hawaon Ka Koi Khauf Nahin
Un Chirago Ko Hawaon Se Bachaya Jaaye
Un Chirago Ko Hawaon Se Bachaya Jaaye
جن چراغوں کو ہواؤں کا کوئی خوف نہیں
اُن چراغوں کو ہواؤں سے بچایا جائے
Bagh Main Jaane Ke Adaab Hua Karte Hain
Kisi Titli Ko Na Phoolon Se Udaaya Jaaye
Kisi Titli Ko Na Phoolon Se Udaaya Jaaye
باغ میں جانے کے آداب ہوا کرتے ہیں
کسی تتلی کو نہ پھولوں سے اُڑایا جائے
Khudkushi Karne Ki Himmat Nahin Hoti Sab Main
Aur Kuch Din Yun Hi Auron Ko Sataya Jaaye
Aur Kuch Din Yun Hi Auron Ko Sataya Jaaye
خودکُشی کرنے کی ہمت نہیں ہوتی سب میں
اور کچھ دِن یونہی اوروں کو ستایا جائے
Ghar Se Masjid Hai Bahut Door Chalo Yun Kar Le
Kisi Rote Hue Bachche Ko Hansaya Jaaye
Kisi Rote Hue Bachche Ko Hansaya Jaaye
گھر سے مسجد ہے بہت دُور چلو یوں کر لیں
کسی روتے ہوئے بچے کو ہنسایا جائے
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO