Table of Contents
Anokhi Waza Hai, Sare Zamane Se Nirale Hain
(Bang-e-Dara)
Anokhi Waza Hai, Sare Zamane Se Nirale Hain
Ye Ashiq Kon Si Basti Ke Ya-Rab Rehne Wale Hain
انوکھی وضع ہے سارے زمانے سے نرالے ہیں
Ilaj-e-Dard Mein Bhi Dard Ki Lazzat Pe Merta Hun
Jo The Chhalon Mein Kante, Nok-e-Souzan Se Nikale Hain
علاج درد میں بھی درد کی لذت پہ مرتا ہوں
Phala Phula Rahe Ya Rab ! Chaman Meri Umeedon Ka
Jigar Ka Khoon De De Kar Ye Boote Main Ne Pale Hain
پھلا پھولا رہے یارب چمن میری امیدوں کا
Rulati Hai Mujhe Raton Ko Khamoshi Sitaron Ki
Nirala Ishq Hai Mera, Nirale Mere Nale Hain
رلاتی ہے مجھے راتوں کو خاموشی ستاروں کی
Na Pucho Mujh Se Lazzat Khanaman Barbad Rehne
Nasheman Sekron Main Ne Bana Kar Phoonk Dale Hain
نہ پوچھو مجھ سے لذت خانماں برباد رہنے کی
Nahin Begangi Achi Rafiq-e-Rah Manzil Se
Theher Ja Ae Sharar, Hum Bhi To Akhir Mitne Wale Hain
نہیں بیگانگی اچھی رفیق راہ منزل سے
Umeed-e-Hoor Ne Sub Kuch Sikha Rakha Hai Waaiz Ko
Ye Hazrat Dekhne Mein Seedhe Sadhe, Bhole Bhale Hain
امید حور نے سب کچھ سکھا رکھا ہے واعظ کو
Mere Ashaar Ae Iqbal! Kyun Pyare Na Hon Mujh Ko
Mere Toote Huwe Dil Ke Ye Dard Angaiz Nale Hain
مرے اشعار اے اقبالؔ کیوں پیارے نہ ہوں مجھ کو
Aflak Se Ata Hai Nalon Ka Jawab Akhir – Allama Iqbal Poetry
Nigah-e-Faqr Mein Shan-e-Sikandari Kya Hai – Allama Iqbal
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO