Table of Contents
ankhon mein raha dil mein utar kar nahi dekha
kashti k musafir ne samandar nahi dekha
آنکھوں میں رہا، دِل میں اُتر کر نہیں دیکھا
کشتی کے مُسافر نے سمندر نہیں دیکھا
be-waqt agar jaon ga sab chonk paren ge
eik umar hui din mein kabhi gher nahi dekha
بے وقت اگر جاؤں گا ،سب چونک پڑیں گے
اِک عُمر ہُوئی دِن میں کبھی گھر نہیں دیکھا
jis din se chala hoon meri manzil pe nazar hai
aankhon ne kabhi maail ka pathar nahi dekha
جس دن سے چلا ہُوں مِری منزل پہ نظر ہے
آنکھوں نے کبھی مِیل کا پتّھر نہیں دیکھا
ye phool mujhe koi wirasat mein mile hain
tumne mera kanton bhara bistar nahi dekha
یہ پُھول مجھے کوئی وِراثت میں مِلے ہیں
تم نے مِرا کانٹوں بھرا بستر نہیں دیکھا
yaaron ki mohabbat ka yaqeen kar liya maine
phoolon mein chupaya hua khanjar nahi dekha
یاروں کی مُحبت کا یقیں کر لِیا میں نے
پُھولوں میں چُھپایا ہُوا خنجر نہیں دیکھا
mehboob ka gher ho k buzurgon ki zameenen
jo chorr diya, usay murr kar nahi dekha
محبُوب کا گھر ہو کہ، بزرگوں کی زمینیں
جو چھوڑدِیا، پھر اُسے مڑکر نہیں دیکھا
khat aisa likha hai k nageene se jurre hain
un haathon ne lekin koi zewar nahi dekha
خط ایسا لکھّا ہے، کہ نگینے سے جُڑے ہیں
وہ ہاتھ، کہ جس نے کوئی زیور نہیں دیکھا
pathar mujhe kehta hai mera chahne wala
main moom hoon us ne mujhe choo kar nahi dekha
پتّھر مجھے کہتا ہے مِرا چاہنے والا
میں موم ہُوں، اُس نے مجھے چُھوکر نہیں دیکھا
Read More:
Nahi Nigah Mein Manzil Tou Justuju Hi Sahi – Faiz Ahmad Faiz
Kab Thahrega Dard Ae dil Kab Raat Basar Hogi – Faiz Ahmad Faiz
Donon Jahan Teri Mohabbat Mein Haar Ke by Faiz Ahmad Faiz
Har Ek Baat Pe Kehte Ho Tum Keh Tu Kya Hai – Mirza Ghalib Ghazal