Ana Hawas Ki Dukaanon Mein Aa Ke Baith Gayi
Ana hawas ki dukaanon mein aa ke baith gayi
Ajeeb maina hai shikron mein aa ke baith gayi
Jaga raha hai zamana magar nahin khultin
Kahaan ki neend in aankhon mein aa ke baith gayi
Wo faakhta jo mujhe dekhte hi udti thi
Bade saleeqe se bachchon mein aa ke baith gayi
Tamaam talkhiyan saaghar mein raqs karne lagin
Tamaam gard kitaabon mein aa ke baith gayi
Tamaam shahar mein mauzu-e-guftugu hai yahi
Ke shahzaadi ghulaamon mein aa ke baith gayi
Nahin thi doosri koi jagah bhi chhupne ki
Humari umr khilaunon mein aa ke baith gayi
Utho ke os ki boondein jaga rahi hain tumhein
Chalo ke dhoop dareechon mein aa ke baith gayi
Chali thi dekhne suraj ki bad-mizaaji ko
Magar ye os bhi phoolon mein aa ke baith gayi
Tujhe main kaise bataaun ke shaam hote hi
Udaasi kamre ke taaqo’n mein aa ke baith gayi
انا ہوس کی دکانوں میں آ کے بیٹھ گئی
عجیب مینا ہے شکروں میں آ کے بیٹھ گئی
جگا رہا ہے زمانہ مگر نہیں کھلتیں
کہاں کی نیند ان آنکھوں میں آ کے بیٹھ گئی
وہ فاختہ جو مجھے دیکھتے ہی اڑتی تھی
بڑے سلیقے سے بچوں میں آ کے بیٹھ گئی
تمام تلخیاں ساغر میں رقص کرنے لگیں
تمام گرد کتابوں میں آ کے بیٹھ گئی
تمام شہر میں موضوع گفتگو ہے یہی
کہ شاہزادی غلاموں میں آ کے بیٹھ گئی
نہیں تھی دوسری کوئی جگہ بھی چھپنے کی
ہماری عمر کھلونوں میں آ کے بیٹھ گئی
اٹھو کہ اوس کی بوندیں جگا رہی ہیں تمہیں
چلو کہ دھوپ دریچوں میں آ کے بیٹھ گئی
چلی تھی دیکھنے سورج کی بد مزاجی کو
مگر یہ اوس بھی پھولوں میں آ کے بیٹھ گئی
تجھے میں کیسے بتاؤں کہ شام ہوتے ہی
اداسی کمرے کے طاقوں میں آ کے بیٹھ گئی
Zindagi Aadhi Hai, Adhoori Hai – Urdu Poetry | Urdunama
Yaar Hum Hain Na Tera Saath Nibhaney Waaley | Urdu Poetry
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO