Allama Iqbal Poetry | Allama Iqbal Shayari
Allama Iqbal Poetry on Shaheen
Guzar Auqaat Kar leta hai yeh Koh-o-Bayaban Mein
Keh Shaheen ke liye zillat hai kaar-e-Ashian Bandi
Ae Tair e Lahoti Us Rizq Se Mout Achi
Jis Rizq Se Ati Ho Parwaz Mein Kotahi
Tu Shaheen hai parwaz hai kaam tera
tere saamne aasman or bhi hain
Faqeeran-e-Haram ke hath Iqbal agya kiun kar
muyassar mir-o-sultan ko nahin shaheen-e-kafoori
Shikayat hai mujhe Ya Rab! Khudawandan-e-Mqktab se
sabaq shaheen bachon ko de rahe hain khaakbazi ka
wo faraib khurdah shaheen keh pala hi kargason mein
usse kya khabar keh kaya hai rah-o-rasam shahbazi
uqabi shan say jhapte thy jo, baal-o-par nikle
sitare sham ke khoon-e-shafaq mein doob kar nikle
Cheete Ka Jigar Chahye, Shaheen Ka Tajasus
Ji Sakte Hain Be-Roshni-e-Danish-o-Farhang
tera andesh aflaki nahi hai
teri parwaaz lolaki nahi hai
yeh mana asal shaheeni hai teri
teri ankhon mein be-baaki nahi hai!
Tera Jauhar Hai Noori, Pak Hai Tu
Farogh-e-Dida-e-Aflak Hai Tu
Tere Said-e-Zaboon Afarishta-o-Hoor
Ke Shaheen-e-Shah-e-Loulak (S.A.W) Hai Tu!
Jawano ko meri aah-e-sehar de
phir in shaheen bachon ko baal-o-par de
khudaya aarzo meri yahi hai
mera noor-e-basirat aam kar de
Uqaabi rooh jab beidaar hoti hai jawano mein
nazar aati hai inko apno manzil aasmano mein
phira fizaon mein kargas agarcha shaheen waar
shikaar zinda ki lazzat say be-naseeb raha
jhapatna palatna, palat kar jhapatna
lahoo garam rakhne ka hai ek bahana
Parwaaz hai dono ki issi aik fiza mein
kargas ka jahan or hai, shaheen ka jahan or
Nahin Tera nasheman qasr-e-sultani ke gumbad par
tu shaheen hai basera kar paharon ki chatanon mein
allama iqbal 2 line shayari – es post ko apne sodton ke sath share krain. SHUKRIYA!