
Table of Contents
Aisa Hai K Sab Khwab Musalsal Nahin Hote
Ahmad Faraz Poetry
Aisa Hai K Sab Khwab Musalsal Nahin Hote,
Jo Aaj To Hote Hain Magar Kal Nahin Hote,
ایسا ہے کہ سب خواب مسلسل نہیں ہوتے
جو آج تو ہوتے ہیں مگر کل نہیں ہوتے
Andar Ki Fazaon K Karishme Bhi Ajab Hain,
Menah Toot K Barse Bhi To Badal Nahin Hote,
اندر کی فضاؤں کے کرشمے بھی عجب ہیں
مینہ ٹوٹ کے برسے بھی تو بادل نہیں ہوتے
Kuch Mushkilen Aisi Hain K Aasan Nahin Hotin,
Kuch Aise Muamme Hain Kabhi Hal Nahin Hote,
کچھ مشکلیں ایسی ہیں کہ آساں نہیں ہوتیں
کچھ ایسے معمے ہیں کبھی حل نہیں ہوتے
Shaistagi-e-Gham K Sabab Aankhon K Sehra,
Namnak To Ho Jaate Hain Jal Thal Nahin Hote,
شائستگیٔ غم کے سبب آنکھوں کے صحرا
نمناک تو ہو جاتے ہیں جل تھل نہیں ہوتے
Kaisy Hi Talatum Hon Magar Qulzum-e-Jaan Mein,
Kuch Yaad Jazire Hain K Ojhal Nahin Hote,
کیسے ہی تلاطم ہوں مگر قلزم جاں میں
کچھ یاد جزیرے ہیں کہ اوجھل نہیں ہوتے
Ushaaq K Manind Kai Ahl-e-Havas Bhi,
Pagal To Nazar Aate Hain Pagal Nahin Hote,
عشاق کے مانند کئی اہل ہوس بھی
پاگل تو نظر آتے ہیں پاگل نہیں ہوتے
Sab Khwahishen Pori Hon FARAZ Aisa Nahin Hai,
Jaise Kai Ashaar Mukammal Nahin Hote.
سب خواہشیں پوری ہوں فرازؔ ایسا نہیں ہے
جیسے کئی اشعار مکمل نہیں ہوتے
Kisi Ki Aankh Se Sapne Chura Kar Kuch Nahi Milta – Wasi Shah
Juda Hone Ke Mosam Mein Juda Hona Bhi Parta Hai
Woh Jo Ajate The Aankhon Mein Sitare Le Kar – Ahmed Faraz
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO