
Table of Contents
Agarche Main Ek Chatan Sa Aadmi Raha Hun
Mohsin Naqvi Ghazal Collection
Agarche main ek chatan sa aadmi raha hun
Magar tere baad hausla hai ki ji raha hun
اگرچہ میں اک چٹان سا آدمی رہا ہوںمگر ترے بعد حوصلہ ہے کہ جی رہا ہوں
Wo reza-reza mere badan mein utar raha hai
Main qatra qatra usi ki aankhon ko pi raha hun
وہ ریزہ ریزہ مرے بدن میں اتر رہا ہےمیں قطرہ قطرہ اسی کی آنکھوں کو پی رہا ہوں
Teri hatheli pe kis ne likkha hai qatl mera
Mujhe to lagta hai main tera dost bhi raha hun
تری ہتھیلی پہ کس نے لکھا ہے قتل میرامجھے تو لگتا ہے میں ترا دوست بھی رہا ہوں
Khuli hain aankhen magar badan hai tamam patthar
Koi bataye main mar chuka hun ki ji raha hun
کھلی ہیں آنکھیں مگر بدن ہے تمام پتھرکوئی بتائے میں مر چکا ہوں کہ جی رہا ہوں
Kahan milegi misal meri sitamgari ki
Keh main gulabon ke zakhm kanton se si raha hun
کہاں ملے گی مثال میری ستم گری کیکہ میں گلابوں کے زخم کانٹوں سے سی رہا ہوں
Na puchh mujh se ki shehar walon ka haal kya tha
Ki main to khud apne ghar mein bhi do ghadi raha hun
نہ پوچھ مجھ سے کہ شہر والوں کا حال کیا تھاکہ میں تو خود اپنے گھر میں بھی دو گھڑی رہا ہوں
Mila to bite dinon ka sach us ki aankh mein tha
Wo aashna jis se muddaton ajnabi raha hun
ملا تو بیتے دنوں کا سچ اس کی آنکھ میں تھاوہ آشنا جس سے مدتوں اجنبی رہا ہوں
Bhula de mujh ko ki bewafai baja hai lekin
Ganwa na mujh ko ki main teri zindagi raha hun
بھلا دے مجھ کو کہ بے وفائی بجا ہے لیکنگنوا نہ مجھ کو کہ میں تری زندگی رہا ہوں
Wo ajnabi ban ke ab mile bhi to kya hai Mohsin
Ye naz kam hai ki main bhi us ka kabhi raha hun
وہ اجنبی بن کے اب ملے بھی تو کیا ہے محسنؔیہ ناز کم ہے کہ میں بھی اس کا کبھی رہا ہوں Ujre Hue Logon Se Gurezan Na Hua Kar – Mohsin Naqvi PoetryMein Dil Pe Jabar Karun Ga Tujhe Bhula Dun Ga – Mohsin NaqviSUBSCRIBE OUR YOUTUBE CHANNEL!