Ada Hai Khawab Hai Taskeen Hai Tamasha – Urdu Poetry
ada hai khawab hai taskeen hai tamasha hai
hamari aankh mein ek shakhs be-tahasha hai
ادا ہے خواب ہے تسکین ہے تماشا ہے
zara si chae giri aur dagh dagh waraq
ye zindagi hai ki akhbar ka tarasha hai
ذرا سی چائے گری اور داغ داغ ورق
tumhaara bolta chehra palak se chhu chhu kar
ye raat aaina ki hai ye din tarasha hai
تمہارا بولتا چہرہ پلک سے چھو چھو کر
tere wajud se bara-dari damak utthi
ki phul pallu sarakne se irtiasha hai
ترے وجود سے بارہ دری دمک اٹھی
main be-zaban nahin jo bolta hun likh likh kar
meri zaban tale zahr ka batasha hai
میں بے زباں نہیں جو بولتا ہوں لکھ لکھ کر
tumhaari yaad ke charkon se lakht lakht hai ji
ki khanjaron se kisi ne badan ko qasha hai
تمہاری یاد کے چرکوں سے لخت لخت ہے جی
jahan bhar se jahan-gard dekhne aaen
ki putliyon ka mere mulk mein tamasha hai
جہان بھر سے جہاں گرد دیکھنے آئیں
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO