Table of Contents
Abr Barsa Na Hawa Taiz Chali Hai Ab Kay
Mohsin Naqvi Poetry
Abr Barsa Na Hawa Taiz Chali Hai Ab Kay
Kitni Veeraan Teri Yaadon Ki Galli Hai Ab Kay
Kitni Veeraan Teri Yaadon Ki Galli Hai Ab Kay
ابر برسا نہ ہوا تیز چلی ہے اب کے
کتنی ویران تیری یادوں کی گلی ہے اب کے
Subah Ki Dhoop Utar Ayee Mere Baalon Mein
Shabb Dhali Hai Keh Meri Umar Dhali Hai Ab Kay
Shabb Dhali Hai Keh Meri Umar Dhali Hai Ab Kay
صبح کی دھوپ اتر آئی مرے بالوں میں
شب ڈھلی ہے کہ مری عمر ڈھلی ہے اب کے
Kya Kahoon Kitnay Bahanon Se Bhulaya Hai Ussay
Yeh Qayamat Barri Mushkil Se Talli Hai Ab Kay
Yeh Qayamat Barri Mushkil Se Talli Hai Ab Kay
کیا کہوں کتنے بہانوں سے بھلایا ہے اسے
یہ قیامت بڑی مشکل سے ٹلی ہے اب کے
Ya Meri Aankh Ke Kashkol Mein Aanso Chamka
Ya Andheray Mein Koi Shama’ Jalli Hai Ab Kay
Ya Andheray Mein Koi Shama’ Jalli Hai Ab Kay
یا میری آنکھ کی کشکول میں آنسو چمکا
یا اندھیرے میں کوئی شمع جلی ہے اب کے
Sehan-E-Gulshan Ki Hawa Hai Keh Qaz’a Ki Dastak
Kitni Sehmi Hoi Ek Aik Kali Hai Ab Kay
Kitni Sehmi Hoi Ek Aik Kali Hai Ab Kay
صحنِ گلشن کی ہوا ہے کہ قضا کی دستک
کتنی سہمی ہوئی اک ایک کلی اب کے
Kis Ko Fursat Hai Dhuwan Dekhnay Jaaye Mohsin
Jhonpri Shehar Se Kuch Door Jali Hai Ab Kay
Jhonpri Shehar Se Kuch Door Jali Hai Ab Kay
کس کو فرصت ہے دھواں دیکھنے جائے محسن
جھونپڑی شہر سے کچھ دور جلی ہے اب کے
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO