Abhi Zid Na Kar Dil-e-Be Khabar – Urdu Poetry
Abhi zid na kar dil-e-be khabar
Ke pas-e-hajoom-e-sitam garaan
Abhi kon tujh se wafa kare
Abhi kis ko fursatein hein iss qadar
Ke samait kar teri kirchiyaan
Tere haq main KHUDA se dua kare
ابھی ضد نہ کر، دل بے خبر
Abhi zid na kar dil-e-be khabar
Ke tah -e- ghubaar-e-gham-e-jahaan
Kahan kho gaye tere chaara gar
Ke raah -e- hayaat main rayegaan
Kahan so gaye tere hamsafar
Abhi gham gusaaron ki chott seh
Abhi kuch na sun abhi kuch na keh
ابھی ضد نہ کر دل بے خبر
Kabhi yun bhi ho ke sarr-e-ufaq
Tere dukh ka chaand damak utthay
Koi tees khud se chamak utthay
Kisi sheher-e-zakhm-e-farosh main
Koi zakhm khud se khareed kar
Sabhi aks khud se khurach kabhi
Kisi aayeine par na deed kar
Kabhi yun bhi jashn-e-tarab manaa
Kabhi iss tarah se bhi eid kar
کبھی یوں بھی ہو کہ سر افق
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO