Table of Contents
Ab Udas Phirte Ho Sardiyon Ki Shamon Mein
Poet: Shoaib Bin Aziz
ab udas phirte ho sardiyon ki shamon mein
is tarah to hota hai is tarah ke kaamon mein
ab to us ki aankhon ke mai-kade mayassar hain
phir sukun dhundoge sagharon mein jamon mein
dosti ka dawa kya aashiqi se kya matlab
main tere faqiron mein main tere ghulamon mein
zindagi bikharti hai shaeri nikharti hai
dilbaron ki galiyon mein dil-lagi ke kaamon mein
jis tarah ‘shoeb’ us ka nam chun liya tum ne
us ne bhi hai chun rakkha ek nam namon mein
اب اداس پھرتے ہو سردیوں کی شاموں میں
اس طرح تو ہوتا ہے اس طرح کے کاموں میں
اب تو اُس کی آنکھوں کے میکدے میّسر ہیں
پھر سکون ڈھونڈو گے ساغروں میں جاموں میں
دوستی کا دعویٰ کیا عاشقی سے کیا مطلب
میں ترے فقیروں میں، میں ترے غلاموں میں
جس طرح شعیب اس کا نام چُن لیا تم نے
اس نے بھی ہے چُن رکھا ایک نام ناموں میں
Sach To Ye Hai Keh Tamannaon Ki Jaan Hoti Hai – Urdu Poetry
Dekh to Dil Ke Jaan Se Uthta Hai – Mir Taqi Mir Poetry
Meri Aankho Mein Aanso Pighalta Raha – Wasi Shah Poetry
Chupke Chupke Asar Karta Hai – Amjad Islam Amjad Poetry
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO