Table of Contents
Ab Tak Shikayatein Hain Dil-e-Bad Naseeb Se
Shakeel Badayuni Poetry
Ab tak shikayatein hain dil-e-bad naseeb se
Ek din kisi ko dekh liya tha qareeb se
اب تک شکایتیں ہیں دل بد نصیب سے
اک دن کسی کو دیکھ لیا تھا قریب سے
Aksar ba-zom-e-tark-e-mohabbat khuda gawah
Guzra chala gaya hun dayaar-e-habeeb se
اکثر بہ زعم ترک محبت خدا گواہ
گزرا چلا گیا ہوں دیار حبیب سے
Dast-e-khizaa’n ne badh ke wahin us ko chun liya
Jo phool gir gaya nigah-e-andaleeb se
دست خزاں نے بڑھ کے وہیں اس کو چن لیا
جو پھول گر گیا نگہ عندلیب سے
Ahl-e-sukoon se khel na ai mauj-e-inbisaat
Ek din ulajh ke dekh kisi ghum-naseeb se
اہل سکوں سے کھیل نہ اے موج انبساط
اک دن الجھ کے دیکھ کسی غم نصیب سے
Na ahl-e-naaz ko bhi mile fursat-e-niyaaz
Main doir hat gaya jo wo guzre qareeb se
نا اہل ناز کو بھی ملے فرصت نیاز
میں دور ہٹ گیا جو وہ گزرے قریب سے
Ye kis khata pe rooth gayi chashm-e-iltifaat
Ye kab ka intiqaam liya mujh ghareeb se
یہ کس خطا پہ روٹھ گئی چشم التفات
یہ کب کا انتقام لیا مجھ غریب سے
Un ke baghair bhi hai wahi zindagi ka daur
Haalat-e-zindagi hain magar kuchh ajeeb se
ان کے بغیر بھی ہے وہی زندگی کا دور
حالات زندگی ہیں مگر کچھ عجیب سے
Samjhe huye thay husn-e-azal jis ko hum Shakeel
Apna hi aks-e-rukh nazar aaya qareeb se
سمجھے ہوئے تھے حسن ازل جس کو ہم شکیلؔ
اپنا ہی عکس رخ نظر آیا قریب سے Tooti Hai Meri Neend Magar Tum Ko Iss Se Kya – Parveen ShakirKhoon-e-Dil Se Kasht-e-Gham Ko Sainchta Rehta Hoon MeinTere Honton Ke Pholon Ki Chahat Main HumGusse Mein Jo Nikhra Hai Us Husn Ka Kya Kehna
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO