Table of Contents
Ab Aur Kya Kisi Se Marasim Barhain Hum
Ahmad Faraz Ghazal Poetry
Ab Aur Kya Kisi Se Marasim Barhain Hum
Ye Bhi Bohat Hai Tujh Ko Agar Bhol Jayen Hum
اب اور کیا کسی سے مراسم بڑھائیں ہم
یہ بھی بہت ہے تجھ کو اگر بھول جائیں ہم
Sehra-e-Zindagi Mein Koi Doosra Na Tha
Sunte Rahe Hain Aap Hi Apni Sadain Hum
صحرائے زندگی میں کوئی دوسرا نہ تھا
سنتے رہے ہیں آپ ہی اپنی صدائیں ہم
Is Zindagi Mein Itni Faraghat Kise Naseeb
Itna Na Yaad Aa K Tujhe Bhol Jayein Hum
اس زندگی میں اتنی فراغت کسے نصیب
اتنا نہ یاد آ کہ تجھے بھول جائیں ہم
Tu Itni DilZada To Na Thi Ay Shab-e-Firaq
Aa Tere Raste Mein Sitare Lotain Hum
تو اتنی دل زدہ تو نہ تھی اے شب فراق
آ تیرے راستے میں ستارے لٹائیں ہم
Wo Log Ab Kahan Hain Jo Kehte They Kal Faraz
Hai Hai Ḳhuda-na-Karda Tujhe Bhi Rolain Hum
وہ لوگ اب کہاں ہیں جو کہتے تھے کل فرازؔ
ہے ہے خدا نہ کردہ تجھے بھی رلائیں ہم
Ishq Mujhko Nahi Wahshat Hi Sahi – Mirza Ghalib Poetry
Sabko Dil Ke Daag Dikhaye – Ibn e Insha Shayari – Urdu Poetry
Chalne Ka Hosla Nahi Rukna Muhaal Kar Diya – by Parveen Shakir
Ab Woh Toofan Hai Na Shor Hawaon Jaisa – Mohsin Naqvi Poetry