Table of Contents
Ab Apni Rooh Ke Chhaalon Ka Kuch Hisaab Karun
Rahat Indori Ghazal Poetry
Ab apni rooh ke chhaalon ka kuch hisab karun
Main chahta tha charaghon ko aaftab karun
اب اپنی روح کے چھالوں کا کچھ حساب کروں
میں چاہتا تھا چراغوں کو ماہتاب کروں
Mujhe buton se ijazat agar kabhi mil jaye
To shehar-bhar ke khudaon ko be-naqab karun
مجھے بتوںسے اجازت اگر کبھی مل جائے
تو شہر بھر کے خداؤں کو بے نقاب کروں
Us aadmi ko bas ek dhun sawar rahti hai
Bahut hasin hai duniya ise kharab karun
اس آدمی کو بس اک دھن سوار رہتی ہے
بہت حسیں ہے یہ دنیا اسے خراب کروں
Hai mere chaaron taraf bhid gunge bahron ki
Kise khatib banaun kise khitab karun
ہے میرے چاروں طرف بھیڑ گونگے بہروں کی
کسے خطیب بناؤں کسے خطاب کروں
Main karwaton ke naye zaiqe likhun shab-bhar
Ye ishq hai to kahan zindagi azab karun
میں کروٹوں کے نئے زاویے لکھوں شب بھر
یہ عشق ہے تو کہاں زندگی عذاب کروں
Ye zindagi jo mujhe qarz-dar karti rahi
Kahin akele mein mil jaye to hisab karun
یہ زندگی جو مجھے قرض دار کرتی ہے
کہیں اکیلے میں مل جائے تو حساب کروں Naseeb Aazmane Ke Din Aa Rahe Hain – Faiz Ahmad FaizWo Mere Paas Hai Kya Paas Bulaun Us Ko – Urdu ShayariIn Aankhon Ki Masti Ke Mastaane Hazaron Hain
FOLLOW US:
● Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
● Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
● Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO