Table of Contents
Aaye Kuch Abr Kuch Sharab Aaye
Faiz Ahmad Faiz Ghazal
آئے کچھ ابر، کچھ شراب آئے – فیض احمد فیض
Aaye kuch abr kuch sharab aaye
Uske baad aaye jo azab aaye
آئے کچھ ابر، کچھ شراب آئے
اس کے بعد آئے جو عذاب آئے
Baam-e-Minaa se maahtaab utare
Dast-e-saaqi mein aaftab aaye
بام مینا سے ماہتاب اترے
دست ساقی میں آفتاب آئے
Har rag-e-khoon mein phir charaagaan ho
Saamne phir woh benaqab aaye
ہر رگ خوں میں پھر چراغاں ہو
سامنے پھر وہ بے نقاب آئے
Umar ke har waraq pe dil ko nazar
Teri mehr-o-wafaa ke baab aaye
عمر کے ہر ورق پہ دل کو نظر
تیری مہر و وفا کے باب آئے
Kar rahaa tha gham-e-jahaan ka hisaab
Aaj tum yaad behisaab aaye
کر رہا تھا غم جہاں کا حساب
آج تم یاد بے حساب آئے
Na gayee tere gham ki sardaari
Dil mein yunh roz inqalab aaye
نہ گئی تیرے غم کی سرداری
دل میں یوں روز انقلاب آئے
Jal uthe bazm-e-ghair ke dar-o-baam
Jab bhi hum khaanaman kharab aaye
جل اٹھے بزم غیر کے در و بام
جب بھی ہم خانماں خراب آئے
Is taraah apni khaamoshi goonji
Goya har simt se jawab aaye
اس طرح اپنی خامشی گونجی
گویا ہر سمت سے جواب آئے
Faiz thi raah sarbasar manzil
Hum jahaan pahunche kamyaab aaye
فیض ، تھی راہ سر بسر منزل
ہم جہاں پہنچے، کامیاب آئے
Read More:
Qurbat Bhi Nahi Dil Se Utar Bhi Nahi Jata – Ahmad Faraz
Dil Hi To Hai Na Sang-o-Khist Dard Se – Mirza Ghalib Poetry
Iza Dahi Ki Daad Jo Paata Raha Hun Mein – Jaun Elia Poetry
2 Line Urdu Shayari | Urdu Shayari with Beautiful Images | 2 Line Shayari