Table of Contents
Aarzuen Hazaar Rakhte Hain
Mir Taqi Mir Poetry
Aarzuen Hazaar Rakhte Hain
To Bhi Ham Dil Ko Maar Rakhte Hain
آرزوئیں ہزار رکھتے ہیں
تو بھی ہم دل کو مار رکھتے ہیں
Barq Kam Hausla Hai Ham Bhi To
Dil Ek Beqaraar Rakhte Hain
Dil Ek Beqaraar Rakhte Hain
برق کم حوصلہ ہے ہم بھی تو
دل کو بے قرار رکھتے ہیں
Ghair Hai Moorad-E-Inaayat Haaye
Ham Bhi To Tum Se Pyaar Rakhte Hain
Ham Bhi To Tum Se Pyaar Rakhte Hain
غیر ہی مورد عنایت ہے
ہم بھی تو تم سے پیار رکھتے ہیں
Na Nigaah Na Payaam Na Vaadaa
Naam Ko Ham Bhi Yaar Rakhte Hain
Naam Ko Ham Bhi Yaar Rakhte Hain
نہ نگہ نے پیام نے وعدہ
نام کو ہم بھی یار رکھتے ہیں
Ham Se Khush Zam-Zamaa Kahaan Yoon To
Lab-O-Lahajaa Hazaar Rakhte Hain
Lab-O-Lahajaa Hazaar Rakhte Hain
ہم سے خوش زمزمہ کہاں یوں تو
لب و لہجہ ہزار رکھتے ہیں
Chhot’te Dil Ke Hain Butaan Mashhoor
Bas Yahi Aitabaar Rakhte Hain
Bas Yahi Aitabaar Rakhte Hain
چوٹٹے دل کے ہیں بتاں مشہور
بس یہی اعتبار رکھتے ہیں
Phir Bhi Karte Hain Mir Saahib Ishq
Hain Javaan Ikhtiyaar Rakhte Hain
Hain Javaan Ikhtiyaar Rakhte Hain
پھر بھی کرتے ہیں میرؔ صاحب عشق
ہیں جواں اختیار رکھتے ہیں
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO