
Urdu, Poetry, Quote, Shayari, Aqwal, Sad Poetry, Urdu Poetry, Love Poetry, Islamic Poetry, Nazm, Ghazal, Iqbal, Parveen Shakir, Jaun Elia, Ahmed Faraz, Faiz Ahmed Faiz, Bashir Badr, Rahat Indori, Mohsin Naqvi, Mir Taki Mir, Mirza Ghalib, Gulzar, Tehzeeb Hafi, Javed Akhtar, Ada Jaffery, Firaq Gorakhpuri, Sahil Ludhianvi, Majrooh Sultanpuri, Nida Fazli, Wasim Barelvi, Akbar Allahabadi, Ibn-e-Insha
Table of Contents
Aankhen Chura Ke Hum Se Bahar Aaye Ye Nahi
Jan Nisar Akhtar Poetry
Aankhen chura ke hum se bahar aaye ye nahi
Hisse mein apne sirf ghubar aaye ye nahi
آنکھیں چرا کے ہم سے بہار آئے یہ نہیں
حصے میں اپنے صرف غبار آئے یہ نہیں
Kuye gham-e-hayat mein sab umar kaat di
Thoda sa waqt wan bhi guzar aaye ye nahi
کوئے غم حیات میں سب عمر کاٹ دی
تھوڑا سا وقت واں بھی گزار آئے یہ نہیں
Khud ishq qurb-e-jism bhi hai qurb-e-jaan ke sath
Hum dur hi se un ko pukar aaye ye nahi
خود عشق قرب جسم بھی ہے قرب جاں کے ساتھ
ہم دور ہی سے ان کو پکار آئے یہ نہیں
Aankhon mein dil khule hon to mausam ki qaid kya
Fasl-e-bahar hi mein bahar aaye ye nahi
آنکھوں میں دل کھلے ہوں تو موسم کی قید کیا
فصل بہار ہی میں بہار آئے یہ نہیں
Ab kya karen ki husn jahan hai aziz hai
Tere siwa kisi pe na pyar aaye ye nahi
اب کیا کریں کہ حسن جہاں ہے عزیز ہے
تیرے سوا کسی پہ نہ پیار آئے یہ نہیں
Wadon ko khun-e-dil se likho tab to baat hai
Kaghaz pe qismaton ko sanwar aaye ye nahi
وعدوں کو خون دل سے لکھو تب تو بات ہے
کاغذ پہ قسمتوں کو سنوار آئے یہ نہیں
Kuch roz aur kal ki murawwat mein kat lein
Dil ko yaqin-e-wada-e-yar aaye ye nahi
کچھ روز اور کل کی مروت میں کاٹ لیں
دل کو یقین وعدۂ یار آئے یہ نہیں
Rooh Pyasi Kahan Se Aati Hai – Jaun Elia Poetry
Bandh Lein Hath Pe Senay Pe Saja Lein Tumko – Wasi Shah
Dil Khoon Hua Kahin to Kabhi Zakham Seh Gaye
Wo Jo Aa Jate The Ankhon Mein Sitare Lekar – Ahmad Faraz
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO