Table of Contents
Aankh Mein Pani Rakho Honton Pe Chingari Rakho
Rahat Indori Ghazal – Rahat Indori Poetry
Aankh mein pani rakho honton pe chingari rakho,
Zinda rahna hai to tarkiben bahut sari rakho
آنکھ میں پانی رکھو ہونٹوں پہ چنگاری رکھو
زندہ رہنا ہے تو ترکیبیں بہت ساری رکھو
Raah ke patthar se badh kar kuch nahi hain manzilen
Raste aawaz dete hain safar jari rakho
راہ کے پتھر سے بڑھ کر کچھ نہیں ہیں منزلیں
راستے آواز دیتے ہیں سفر جاری رکھو
Ek hi nadi ke hain ye do kinare dosto
Dostana zindagi se maut se yaari rakho
ایک ہی ندی کے ہیں یہ دو کنارے دوستو
دوستانہ زندگی سے موت سے یاری رکھو
Aate jate pal ye kehte hain humare kaan mein
Kuch ka ailan hone ko hai tayyari rakho
آتے جاتے پل یہ کہتے ہیں ہمارے کان میں
کوچ کا اعلان ہونے کو ہے تیاری رکھو
Ye zaruri hai ki aankhon ka bharam qayam rahe
Nind rakho ya na rakho khwab mein yaari rakho
یہ ضروری ہے کہ آنکھوں کا بھرم قائم رہے
نیند رکھو یا نہ رکھو خواب معیاری رکھو
Ye hawayen udd na jayen le ke kaghaz ka badan
Dosto mujh par koi patthar zara bhaari rakho
یہ ہوائیں اڑ نہ جائیں لے کے کاغذ کا بدن
دوستو مجھ پر کوئی پتھر ذرا بھاری رکھو
Le to aaye shayari bazaar mein Rahat Miyan
Kya zaruri hai ki lehje ko bazari rakho
لے تو آئے شاعری بازار میں راحتؔ میاں
کیا ضروری ہے کہ لہجے کو بھی بازاری رکھو
Roz Taaron Ko Numaish Mein Khalal Parta Hai – Rahat Indori Ghazal
Vehshat-e-Dil Thi Kahan Kam Ke Badhane Aaye – Urdu Ghazal
Parakhna Mat Parakhne Mein Koi Apna Nahi Rehta – Bashir Badr