Aandhi Mein Charagh Jal Rahe Hain
aandhi mein charagh jal rahe hain
kya log hawa mein pal rahe hain
آندھی میں چراغ جل رہے ہیں
ai jalti ruto gawah rahna
hum nange panw chal rahe hain
اے جلتی رتو گواہ رہنا
kohsaron pe barf jab se pighli
dariya tewar badal rahe hain
کہساروں پہ برف جب سے پگھلی
mattii mein abhi nami bahut hai
paimane hunuz Dhal rahe hain
مٹی میں ابھی نمی بہت ہے
kah de koi ja ke taeron se
chyunTi ke bhi par nikal rahe hain
کہہ دے کوئی جا کے طائروں سے
kuchh ab ke hai dhup mein bhi tezi
kuchh hum bhi sharar ugal rahe hain
کچھ اب کے ہے دھوپ میں بھی تیزی
pani pe zara sambhal ke chalna
hasti ke qadam phisal rahe hain
پانی پہ ذرا سنبھل کے چلنا
kah de ye koi musafiron se
sham aai hai sae Dhal rahe hain
کہہ دے یہ کوئی مسافروں سے
gardish mein nahin zamin hi ‘akhtar’
hum bhi dabe panw chal rahe hain
گردش میں نہیں زمیں ہی اخترؔ
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO