Aandhi Ki Zad Mein Shama-e-Tamanna Jalayi Jaye
aandhi ki zad mein sham-e-tamanna jalai jaye
jis tarah bhi ho laj junun ki bachai jaye
آندھی کی زد میں شامِ تمنا جلائی جائے
be-ab o be-giyah hai ye dil ka dasht bhi
ek nahr aansuon ki yahan bhi bahai jaye
بے آب و گیاہ ہیے یہ دل کا دشت بھی
aajiz hain apne tala-e-bedar se bahut
har raat hum ko koi kahani sunai jaye
عاجز ہیں اپنے طالعِ بیدار سے بہت
sab kuch badal gaya hai magar log hain ba-zid
mahtab hi mein surat-e-jaanan dikhai jaye
سب کچھ بدل گیا ہیے مگر لوگ ہیں بضد
kuch sagharon mein zahr hai kuchh mein sharab hai
ye masala hai tishnagi kis se bujhai jaye
کچھ ساغروں میں زہر ہیے کچھ میں شراب ہیے
To Apne Phool Se Honton Ko Raigaan Mat Kar – URDUNAMA.NET
Marhale Shoq Ke Dushwar Howa Karte Hain – Mohsin Naqvi
Udaas Logon Se Pyar Karna Koi To Seekhe – Urdu Poetry
Wohi Hisaab-E-Tamanna Hai, Ab Bhi Aa Jaao – Jaun Elia
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO