
Table of Contents
Aa Ke Meri Jaan Main Qaraar Nahin Hai
Mirza Ghalib Poetry
Aa Ke Meri Jaan Main Qaraar Nahin Hai
Taaqat-E-Bedaad-E-Intazaar Nahin Hai
Dete Hain Jannat Hayaat-E-Dahar Ke Badle
Nashshaa Baandaaza-E-Khumaar Nahin Hai
…
Giriya Nikaale Hai Teri Bazm Se Mujh Ko
Haaye! Ki Rone Pe Ikhtiyaar Nahin Hai
Ham Se Abas Hai Gumaan-E-Ranjish-E-Khaatir
Khaak Main Ushshaq Ki Gubaar Nahin Hai
Dil Se Uthaa Lutf-E-Jalwa Haaye Maani
Gair-E-Gul Aaina-E-Bahaar Nahin Hai
Qatl Ka Mere Kiya Hai Ahad To Baare
Vaaye! Agar Ahad Ustavaar Nahin Hai
Tu Ne Qasam Maikashi Ki Khaai Hai ‘Ghalib’
Teri Qasam Ka Kuch Aitabaar Nahin Hai
آ کہ مری جان کو قرار نہیں ہے
طاقت بیداد انتظار نہیں ہے
دیتے ہیں جنت حیات دہر کے بدلے
نشہ بہ اندازۂ خمار نہیں ہے
گریہ نکالے ہے تیری بزم سے مجھ کو
ہائے کہ رونے پہ اختیار نہیں ہے
ہم سے عبث ہے گمان رنجش خاطر
خاک میں عشاق کی غبار نہیں ہے
دل سے اٹھا لطف جلوہ ہائے معانی
غیر گل آئینۂ بہار نہیں ہے
قتل کا میرے کیا ہے عہد تو بارے
وائے اگر عہد استوار نہیں ہے
تو نے قسم مے کشی کی کھائی ہے غالبؔ
تیری قسم کا کچھ اعتبار نہیں ہے
Tinka Tinka Kante Tode Sari Raat Katai Ki – Urdu Poetry
Thakan Se rah Mein Chalna Muhaal Bhi Hai Mujhe – Munir Niazi
Main Chaahta Bhi Yahi Tha Woh Bewafa Nikle – Waseem Barelvi Ghazal
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO