Parai Aag Pe Roti Nahi Banaunga – Tehzeeb Hafi Poetry
Parai Aag Pe Roti nahi banaunga
main bheeg jaunga chhatri nahi banaunga
پرائی آگ پہ روٹی نہیں بناؤں گا
میں بھیگ جاؤں گا چھتری نہیں بناؤں گا
agar Khuda ne banane ka ikhtiyar diya
alam banaunga barchi nahi banaunga
alam banaunga barchi nahi banaunga
اگر خدا نے بنانے کا اختیار دیا
علم بناؤں گا برچھی نہیں بناؤں گا
fareb de ke tera jism jeet loon lekin
main ped kaat ke kashti nahi banaunga
main ped kaat ke kashti nahi banaunga
فریب دے کے ترا جسم جیت لوں لیکن
میں پیڑ کاٹ کے کشتی نہیں بناؤں گا
se koi bhi guzre to chounk uthta hoon
naye makan mein khidki nahi banaunga
naye makan mein khidki nahi banaunga
گلی سے کوئی بھی گزرے تو چونک اٹھتا ہوں
نئے مکان میں کھڑکی نہیں بناؤں گا
main dushmanon se agar jang jit bhi jaon
to un ki aurtain qeidi nahi banaunga
میں دشمنوں سے اگر جنگ جیت بھی جاؤں
تو اُن کی عورتیں قیدی نہیں بناؤں گا
tumhein pata to chale be-zaban chiz ka dukh
main ab charagh ki lau hi nahi banaunga
main ab charagh ki lau hi nahi banaunga
تمہیں پتا تو چلے بے زبان چیز کا دکھ
میں اب چراغ کی لو ہی نہیں بناؤں گا
main ek film banaunga apne sarwat par
aur is mein rail ki patri nahi banaunga
aur is mein rail ki patri nahi banaunga
میں ایک فلم بناؤں گا اپنے ثروت پر
اور اُس میں ریل کی پٹری نہیں بناؤں گا